sad ghazal लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
sad ghazal लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

रविवार, 10 अप्रैल 2016

Hansata tha fir mujhe rula bhi deta tha

Hansata tha fir mujhe rula bhi deta tha,
Kar ke askar wade mujh se bhula bhi deta tha,
Bewafa tha magar achchha lagata tha dil ko,
Kabhi kabhi baaten muhabat ki suna bhi deta tha,
Tham leta tha haath mera kabhi yun hi khud,
Kabi haath apana mere haath se chhuda bhi leta tha,
Kabhi bewaqt chala aata tha milane ko,
Kabhi qeemati pal muhabat ke ganwa bhi deta tha,
Ajab dhoop chhaaon sa mizaaj tha us ka,
Mohabat bhi karta tha nazron se gira bhi deta tha!

हँसता था फिर रुला भी देता था,
कर के अकसर वादे मुझसे, भुला भी देता था;
बेवफा था मगर अच्छा लगता था दिल को,
कभी कभी बातें मुहब्बत की सुना भी देता था;
थाम लेता था मेरा हाथ कभी यूँ ही खुद;
कभी हाथ अपना मेरे हाथ से छुड़ा भी लेता था;
कभी बेवक्त चला आता था मिलने को;
अज़ब धूप छाओं का मिज़ाज था उसका,

मोहब्बत भी करता था, नज़रों से गिरा भी देता था!

मंगलवार, 5 अप्रैल 2016

Bari Lambi Hain Raatain Hijr Ki

Bari Lambi Hain Raatain Hijr Ki Aur Roshni Kum Hai
Ghata Bhi Ghir K Aayi Hai Deeay Ki Lau Bhi Madhum Hai
Chita Roshan Hui Hai Wasl Ki Ye Kis Qareenay Se
K Main Ghabra Gya Hoon Iss Tarha Ro Ro K Jeenay Se
बड़ी लम्बी हैं रातें हिज्र की और रोशनी कम है,
घटा भी घिर के आई है, दिये की लौ भी मद्धम है;
चिता रोशन हुईं है वस्ल की ये किस किनारे से,
कि मैं घबरा गया हूँ, इस तरह रो-रो के जीने से|