Chitra Singh लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Chitra Singh लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

गुरुवार, 16 जनवरी 2014

Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Ki Tarah

Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Ki Tarah,
Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Ki Tarah


Mere Mehboob Mere Pyaar Ko Ilzaam Na De,
Hijr Mein Eed Manaayee Hai Moharrum Ki Tarah


Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,

Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki Tarah
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
 

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe,
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe


Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha,
Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe


Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom,
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe


Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel',
Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen on YouTube
Gajal By- JAGJIT SINGH
 
Gajal By- Ustad Menhadi Hasan
 
 
Shahrjah Tour Rare Version
 
Film Video
 

Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate

Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate,
Junba Basta Huye Hamse Wo Ab Sare Kahaan Jaate


Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakh Li Waada-faan-e Ki,
Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimane Kahaan Jaate


Chalo Achchha Hua Kaam Aa Gayi Diwaangi Apni,
Warna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
 
 
Album- A MILE STONE
Watch/Listen Gajal By- CHITRA SINGH


सोमवार, 23 दिसंबर 2013

Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki

Angdai Par Angdai Leti Hai Raat Judai Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee

Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee

Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee

Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee 


Watch/Listen on YouTube