Album- A SOUND AFFAIR लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Album- A SOUND AFFAIR लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

शनिवार, 25 जनवरी 2014

Tere Khushbu Men Base Khat Main Jalaataa Kaise

Tere Khushbu Men Base Khat Main Jalaataa Kaise
Pyaar Men Dube Hue Khat Main Jalaataa Kaise

Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Hun
Aag Bahate Hue Pani Men Lagaa Aayaa Hun

Jin Ko Duniyaa Ki Nigaahon Se Chhupae Rakha
Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakha

Din Jin Ko, Jinhen Iimaan Banaaye Rakha
Tune Duniyaa Ki Nigaahon Se Jo Bachakar Likhe

Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
Kabhi Din Men To Kabhi Raat Men Uth Kar Likhe

Pyaar Men Dube Hue Khat Main Jalaata Kaise
Tere Haathon Ke Likhe Khat Main Jalaata Kaise

Tere Khat Aaj Main Gangaa Men Bahaa Aayaa Hun
Aag Bahate Hue Paani Men Lagaa Aayaa Hun
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH

 
 
Watch Movie Video- ATRTH(1982)
 
Watch Album
 
 

 



Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin

Socha Nahin Achcha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahin,
Maanga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahin


Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaaha Tujhe Pooja Tujhe,
Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahin


Jispar Hamari Aankh Ne Moti Bichchaaye Raat Bhar,
Bheja Wohi Kaagaz Tujhe Humne Likha Kuch Bhi Nahin


Ek Shaam Ki Dahleez Par Baithe Rahe Wo Der Taq,
Aankhon Se Kee Baaten Bahot Humne Kaha Kuch Bhi Nahin

 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
Gajal By- Dr Basheer Badr
 


Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De

 Manzil Na De Charaag Na De Hauslaa To De,
Tinke Ka Hi Sahee Tu Magar Aasraa To De,

Maine Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Jawaab,
Lekin Khamosh Kyoon Hai Tu Koi Faislaa To De

Barson Main Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb,
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

Beshaq Mere Naseeb Pe Rakh Apnaa Ikhtiyaar,
Lekin Mere Naseeb Mein Kya Hai Bata To De
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH


Kabhi To Khul Ke Baras Abr E Meherbaan Ki Tarah

 Kabhi To Khul Ke Baras Abr E Meherbaan Ki Tarah,
Mera Wazood Hai Jalte Huye Makan Kee Tarah


Main Ik Khwaab Sahee Aapki Amaanat Hoon,
Mujhe Sambhaal Ke Rakhiyegaa Jism-o-jaan Ki Tarah


Kabhi To Soch Ke Wo Saksh Kis Kadar Tha Buland,
Jo Bichh Gaya Tere Kadmon Mein Aasmaan Ki Tarah


Bula Rahaa Hai Mujhe Fir Kisi Badan Ka Basanth,
Guzar Na Jaaye Ye Ruth Bhi Kahin Khizaan Ki Tarah
 
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- CHITRA SINGH
 
 

गुरुवार, 16 जनवरी 2014

Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Ki Tarah

Kabhi Guncha Kabhi Shola Kabhi Shabnam Ki Tarah,
Log Milte Hain Badalte Huye Mausam Ki Tarah


Mere Mehboob Mere Pyaar Ko Ilzaam Na De,
Hijr Mein Eed Manaayee Hai Moharrum Ki Tarah


Maine Khushboo Kee Tarah Tujhko Kiya Hai Mehsoos,
Dil Ne Chheda Hai Teri Yaad Ko Shabnam Ki Tarah

Kaise Ham-dard Ho Tum Kaisee Masihaayee Hai,

Dil Pe Nashtar Bhi Lagaate Ho To Marham Ki Tarah
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH
 
 
 

Ae Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De

Ae Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De,
Ya Chhalakti Aankhon Ko Bhi Patthar Kar De

Tujhko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Maine,

Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ka Paikar Kar De

Aur Kuch Bhi Mujhe Darkaar Nahin Hai Lekin,
Meri Chaadar Mere Pairon Ke Baraabar Kar De

 
 
 
Album- A SOUND AFFAIR
Watch/Listen Gajal By- JAGJIT SINGH