रविवार, 21 अप्रैल 2013

Ghulam Ali: Dil mein ek laher si utthi hai abhi

Dil mein ek laher si utthi hai abhi;
Koi taaza hawa chali hai abhi!

Shor barpa hai khana-e-dil mein;
Koi deewar si giri hai abhi!

Kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi;
Our ye chote bhi nayi hai abhi!

Yaad ke be-nishaan jazeeron se;
Teri awaaz aa rahi hai abhi!

Shehar ki be-charaagh galiyon mein;
Zindagi tujh ko dhoondti hai abhi!

Gulam Ali: Dil apana mayakashi ka talabagaar bhi nahin

Dil apana mayakashi ka talabagaar bhi nahin
Han wo agar pilaayein to inkaar bhi nahin

Aad-e-wafa ki subaho ka kya zikr dosto
Aad-e-wafa ki subaho ke aasaar bhi nahin

Soon pada hai der se mayakaanaa-e-wafa
Saaqi ka zikr kya koyi mayakaar bhi nahin

Gulashan ujaad ho gaya duniya badal gayi
Kya dhuundhate ho gul ke yahaan kaar bhi nahin

Darshan na puuchho zulmat-e-duniyaa-e-aashiqi
Koi charaag ab to sar-e-daar bhi nahin

शनिवार, 20 अप्रैल 2013

Ghulam Ali: Dekhkar dilkashi zamaane ki

Dekhkar dilkashi zamaane ki;
Aarzu hai fareb khaane ki!

Aye gam-e-zindagi na ho naaraaz;
Mujhko aadat hai muskuraane ki!

Zulmaton se na dar ke raste men
Roshani hai sharaabkhane ki!

As tere kesuon ko pyaar karu;
Raat hai mashalen jalaane ki!
देखकर दिलकशी ज़माने की, आरजू है फरेब खाने की;
ऐ गम-ए-जिंदगी न हो नाराज, मुझको आदत है मुस्कुराने की!
ज़ुल्मतों से न डर कि रास्ते में, रोशनी है शराबखाने की;
आ तेरे केसुओं को प्यार करूँ, रात है मशालें जलाने की...!

Ghulam Ali: Dekha idhar udhar to ye thokar lagi mujhe

Dekha idhar udhar to ye thokar lagi mujhe;
Apani hi chaap raah ka patthar lagi mujhe!

Bhadaka hua tha sholaa-e-ehasaas is qadar;
Sahara ki dhoop saaye se behatar lagi mujhe!

Taqasim ho gaya huun main kairaat ki tarah;
Duniya kisi faqir ki chaadar lagi mujhe!

Yun dil bujha ke kuun se uthane laga dhuvaan;
Uthate dhuvein ki lau tera paikar lagi mujhe!

Pathara chala hai jism bhi aankhon ke saath saath;
Wo zalb-e-intazaar 'muzaffar' lagi mujhe!

बुधवार, 3 अप्रैल 2013

Ghulam Ali - Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai

Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai;
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai!

Khench lena voh mera parde ka kona da-fatan;
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan;
Woh kalaai main tera kangan ghumana yaad hai!

Waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye;
Woh tere sukhe labon ka thar-tharana yaad hai!

Aa gaya kal wasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq;
Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai!

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye;
Vo tera kothe pe nange paaon aana yaad hai!

Ba-hazaran istirabo sad-hazaraan ishteyaque;
Mujhse vo pehle pehal dil ka lagana yaad hai!

Jaan kar hota tujhe wo kasad-e-pabosi mera;
Aur tera thukra ke sar wo muskurana yaad hai!

Tujhko jab tanha kabhi pana to aj-raahe lihaaz;
Hale dil baton hi baton me jatana yaad hai!

Jab siwa mere tumhara koi diwana na tha;
Sach kaho kya tumko bhi wo kaarkhana yaad hai!

Ghulam Ali - Chamakte chand ko tuta hua tara bana dala

Chamakte chand ko tuta hua tara bana dala;
Meri aawargi ne mujhko aawara bana dala..!

Bada dilkash bada rangeen hai yeh shehar kahte hain…
Yahan par hain hazaron ghar gharon mein log rahte hain…
Mujhe is shehar ne galiyon ka banjara bana dala…!

Main is duniya ko aksar dekh kar hairaan hota hun…
Na mujhse ban saka chhota sa ghar, din raat rota hun…
Khudaya tune kaise ye jahan sara bana dala…!

Mere malik, mera dil kyun tadapta hai, sulagta hai…
Teri marzi , teri marzi pe kiska zor chalta hai…
Kisi ko gul, kisi ko tune angara bana dala...!

Yehi aagaz tha mera, yehi anjam hona tha…
Mujhe barbaad hona tha, mujhe nakaam hona tha…
Mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala…!
_______________________________________________________
चमकते चाँद को टूटा हुआ तारा बना डाला;
मेरी आवारगी ने मुझको आवारा बना डाला..!

बड़ा दिलकश बड़ा रंगीन है ये शहर कहते हैं;
यहाँ पर हैं हज़ारों घर घरों में लोग रहते हैं;
मुझे इस शहर ने गलियों का बंजारा बना डाला..!

मेरे मालिक, मेरा दिल क्यूँ तड़पता है, सुलगता है;
तेरी मर्जी, तेरी मर्जी पे किसका जोर चलता है;
किसी को गुल, किसी को तूने अंगारा बना डाला..!

यही आगाज् था मेरा, यही अंजाम होना था;
मुझे बर्बाद होना था, मुझे नाकाम होना था;
मुझे तकदीर ने तकदीर का मारा बना डाला..!

Ghulam Ali: Chaaraagar gaya ho

Chaaraagar gaya ho jaise
Ab to marana bhi dawa ho jaise

Mujhase bichhada tha wo pahale bhi magar
Ab ke ye zakm naya ho jaise

Mere maathe pe tere pyaar ka hanth
Ruh par dast-e-saba ho jaise

Yun bahut hans ke mila tha lekin
Dil hi dil mein wo khafa ho jaise

चारागर गया हो जैसे;
अब तो मरना भी दावा हो जैसे!

मुझसे बिछड़ा था वो पहले भी मगर;
अब के ये जख्म नया हो जैसे!

मेरे माथे पर तेरे प्यार का हाँथ;
रूह पर दस्त-ए-सबा हो जैसे!

यूँ बहुत हंस के मिला था लेकिन;
दिल ही दिल में वो खफा हो जैसे..!